Garv hai!!

This is dedicated to all those soldiers who lost their lives for us in the Pulwama Terror Attack on 14.02.2019.

Ek mausam aaya tha
Sabka sukoon le gaya
Karne gaya uski hifaazat
To badle me jaan le gaya

Or pohocha diya esi jagah
Jaha mere jaise aur bhi the
Garv hai khudpe
Jo ladne Ka mauka mila

Bas ek khwahish thi
Thoda waqt mil jaata
To maa ko aakhri Baar
Apna chehra dikha paata

Maa, fikar na Karna meri
Khush hu me Yaha
Jaha ho Kuch galat
Nazar hogi meri waha

Aaega ek din
Jab har aasmaan me
Hawa ki jagah
Lehraaega hamara tiranga

Vaada hai mera
Agar mile ek aur Jaan
To wo bhi hogi
Mere desh pe kurbaan

Comments

Popular posts from this blog

Why should everyone turn vegetarian if they have an option?